JAL HE JIVAN HAI
garmiyo ka mosam suru hote hi desh k kuch state sukhe ki chapet me a jate hai. jab sukhe ke isthati aa jati h thabhi jal bachane k upaye sujhate hai aur tor tareke ki baat sarkar aur prasasan karne lagte hai jab garmi chali jati hai to sabhi log kaan aur ankhe band kar so jate hai. agar jal ko dusit aur barbad karne ka silsala uhi chalta rha to wah din dur nhi jab jal ki vikral samasya ane wali hai log saaf jal ki ek ek bund ko taras jainge wese bhi manav ne apne vikash ke leye prakartik vastuvo ka atyadhik dohan kiya hai.
jal ke bina sichai kese hogi.?bharat mein jaha per garmiyo mein sukha aur barsat ke dino mein kuch state mein (ex-Bihar) pani hi pani dhekhane ko milta hai. sarkar aur prasasan barsati jal ko sabhalne k liye upai kare to girte jal leval ko kuch hadh tak roka ja sakta hai. bharat me girte bhujal ki samasya hai agar ye samasya nhi ruki to wo din dur nhi jab jagah jagah per desert ki tareh bhu kand dekhai denge.....
Comments
Post a Comment